aa-ha-ha
aaj mere man mein sakhi bansuri bajaaye koi
aaj mere man mein

aaj mere man mein sakhi bansuri bajaaye koi
pyar bhare geet sakhi baar-baar gaaye koi
bansuri bajaaye, bansuri bajaaye sakhi, gaaye sakhi, re, koi chailwa, ho
(koi albelwa, ho, koi chailwa, ho)

rang meri jawani ka liye jhoomta ghar aaya hai saawan
(oh, rang meri jawani ka liye jhoomta ghar aaya hai saawan)
aa-ha-ha, oh, sakhi, ho, re, sakhi aaya hai saawan

(mere nainon mein hain sajan)
in udi ghaton mein, hawaon mein sakhi
naache mera mann, ho, sakhi naache mera mann

(ho, aangan mein saawan mann bhaavan ho ji)
ho-o, in udi ghaton mein, hawaon mein sakhi
naache mera mann, ho, sakhi naache mera mann

dil ke hindole pe mohe jhoolna jhulaaye koi
bansuri bajaaye sakhi, gaaye sakhi, re, koi chailwa, ho
(koi albelwa, ho, koi chailwa, ho)

kahta hai ishaaron mein koi: aa, mohe ambua ke tale mil
(bhala wo kaun hai ghayal?)
kahta hai ishaaron mein koi: aa, mohe ambua ke tale mil
(bhala wo kaun hai ghayal?)

main naam na loon, aaj lage laaj sakhi
dhadke mera dil, ho, sakhi dhadke mera dil

(ho, aangan mein saawan mann bhaavan ho ji)
ho-o, main naam na loon, aaj lage laaj sakhi

dhadke mera dil, ho, sakhi dhadke mera dil
taar pe jeevan ki madhur raagini sunaaye koi
bansuri bajaaye sakhi, gaaye sakhi, re, koi chailwa, ho
(koi albelwa, ho, koi chailwa, ho)

Composição: